SEND FREE SMS

Infolinks

infolinks for adds

یھاں کلک کریں

Tuesday, 29 October 2013

phir ek din aisa aayega

phir ek din aisa aayega
aankhon ke diye bujh jayenge
hathon ke kanval kumhalayenge
aur barg-e-zaban se nataq-va-sada
ke har titali ud jayegi
ik kale samandar ke tah mein
kaliyon ke tarah se khilati hui
phoolon ke tarah se hansati hui
sari shaklen kho jayengi
khoon ke gardish dil ke dhadakan
sab ranginiyan so jayengi
aur nili faza ke makhmal par
hansati hui hire ke ye kani
ye meri jannat meri zamin
is ke subahen is ke shamen
bejane hue besamajhe hue
ik musht gubar-e-insan par
shabanam ke ro jayengi
har cheez bhula di jayegi
yadon ke hasin butkhane se
har cheez utha di jayegi
phir koi nahi ye puchega
‘sardar’ kahan hai mahafil mein
lekin main yahan phir aaunga
bachon ke dahan se bolunga
chidiyon ke zaban se gaunga
jab bij hansenge dharati mein
aur konpalen apni ungali se
matti ke tahon ko chedengi
main patti patti kali kali
apni aankhen phir kholunga
sar sabz hatheli par lekar
shabanam ke qatre tulunga
main rang-e-hena aahang-e-gazal
andaz-e-sukhan ban jaunga
rukhsar-e-urus-e-nau ke tarah
har aanchal se chan jaunga
jadon ke havayen daman mein
jab fasal-e-khazan ko layengi
rahru ke jawan qadmon ke tale
sukhe hue patton se mere
hansane ke sadayen aayengi
dharati ke sunahari sab nadiyan
aakash ke nili sab jhilen
hasti se meri bhar jayengi
aur sara zamana dekhega
har qissa mera afsana hai
har aashiq hai saradar yahan
har mashuqa sultana hai
main ek gurezan lamha hun

saifrahman

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipisicing elit, sed do eiusmod tempor incididunt ut labore et dolore magna aliqua. Ut enim ad minim veniam, quis nostrud exercitation.

0 comments:

Post a Comment

 

Copyright @ 2013 Sad urdu poetry.

Designed by ch saif rahman & Sponsored By Saif Arain